Tuesday, March 08, 2011

Mohabtain jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna

Mohabtain jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna

Jo meri hisy me ayi hain wo azziaten bhi shumar karna.

Jalay rakhon gi subho tak me tumhare rasto me apni ankhen

Mager kahin zabt toot jay to barishen bhi shumar karna,

Tum apni majborio k kissy zaroor likhna wzahato se

Jo meri ankho me chan bachi hain wo khawahishe bhi shumar karna

No comments:

Post a Comment