Wednesday, February 23, 2011

Dil se wisaal-e- yaar ka armaan bhi Gaya,

Dil se wisaal-e-
yaar ka armaan
bhi Gaya,

Dekha jo Ghar
udaas to
mehmaan bhi
Gaya,

kar li hai usne
phir Gham-e-jaana se dosti,

Lo apne haath
se Dil-e-nadaan
bhi Gaya,

Mushkil tha apni Raah pe Lana ussey magar,

Tha baat mein
khuloos to wo
maan bhi Gaya,

Dikhlaaye kiya
bahaar ne
josh-e-junoon ke
Rang,

Daaman bacha
Rahey they
Girrebaan bhi
Gaya,

uski waffa na
haasil hui mujhe Wasi !

Mai us ke Darr pe le ke Dil-o-jaan bhi Gaya..

No comments:

Post a Comment